NOTE : You can also select a particular composition by selecting
its name from the "LABELS / INDEX " section and dont forget to click subscribe to.

Press "CTRL + D" to bookmark this site.


Vo chhoti si mulaqat, is all about a cute story of a gal n guy......
A fun-filled compo of boy proposing the gal......
Enjoy.....n keep smiling :) !!!

Here it goes.......

"Vo Chhoti si Mulaqat......"


Pichhle summer vacations ki hai ye kahani,
jise suna raha hu mai apni jubani.

Ek tha ladka, ek thi ladki,
dur par amne samne thi unki khidki.


Unki pehli mulaqat kuchh yu hui thi,
is kahani ki shurwat kuchh yu hui thi.

Subah subah ka waqt tha, mausam bhi bilkul mast tha,
ladki walk par nikli thi, ladke ki bhi heart-beat badh gayi thi.

Ladke ne bhi apne joggers dale,
aur apne kadam park ki taraf padh dale.

Dono ki nazrein apas me takrai,
ladka muskuraya ladki bhi sharmai.

Ab to shaam ko bhi yahi silsila chalta tha,
ladki age aur ladka pichhe pichhe raha karta tha.


Chhutiya khatam hone ko ayi thi,
par unki baat start bhi na hone payi thi.

Akhir ladke ne socha, mujhe hi karni hogi shurwat,
jo bhi uska faisla, bata dunga apne dil ka haal.

Shaam badi haseen thi,
ladke ne propose karne ki practice bhi bahut ki thi.


Vo ghadi bhi aa gayi, ladki ghar se nikli,
ladka uske pass gaya aur dil ki baat bata dali.


Par ladki ne inkaar kiya,
ladke ke dil pe gahra waar kiya.

Ladke ne puchha, is inkar ki wajah kya hai,
ladki masumiyat se bol,
"mere baap ka transfer jalandhar ho chuka hai".





Free Signature Generator
-----------------------------------------------------------------


This entry was posted on 12:20 AM and is filed under , . You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed. You can leave a response, or trackback from your own site.

1 comments:

    Unknown said...

    nice..:)

  1. ... on September 27, 2010 at 4:22 PM  
             -----------------------------------------------------------------------------------------------------------

          NOTE : 
            ©2010 Author.All Rights Reserved. Copying the contents  of any post
            by any means or illegal storing without the written  permission  of
            the author  is a punishable offence. Publication   or  reproduction 
            of any composition or post is solemnly right of the author.