NOTE : You can also select a particular composition by selecting
its name from the "LABELS / INDEX " section and dont forget to click subscribe to.

Press "CTRL + D" to bookmark this site.

Teri Yaadein, is the next composition in the sequence of previous one.......
The memories of someone which are only with us now.......
Remebering again and again......really painful...!!!

So here it goes.....

"Teri Yaadein ......"


Yaadein, bus teri yaadein rah gayi hai,
muskurati thi zindagi, udaseen bankar rah gayi hai.

Jab tum the, zindagi kam si lagti thi,
ab to ye waqt bhi ruka ruka sa lagta hai.


Pehle tumhara ghar bhi hame apna lagta tha,
ab to ye shahar bhi paraya lagta hai.

Gumsum ho gayi hai duniya meri,
bus niharta rahta hu tasveer teri.


Aur kya byan karu hal-e-dil apna,
mano toot gaya ho ek haseen sapna.


Vapas aa jao, ek baar gale laga jao,
chhod dunga ye duniya sari.

Mushkil agar ye bhi ho to bus ek baar kah dena,
dua yahi karenge ki udaseen na ho tumhari zindagi,
tumhari bhi zindagi.



Free Signature Generator
-----------------------------------------------------------------



Bhula Do, is the next composition in the sequence of previous two.........
Forget everyone who is the reason of your pain.....
Look ahead, someone else is waiting for you....

So here it goes.......


Bhula Do......

Khoye hue ho tum kyu uski yaadon me,
kya zindagi beeta doge uske khayalo me.

Gham ke baarish me tum bheege hue se lag rahe ho,
aasuoe ke dariya me dube hue se lag rahe ho.

Mana ki dil hai udas tera,
vo tha koi khas tera.



Par ye to zindagi ke mod hai,
manzile abhi aur hai.

Hum se puchh ae mere dost,
hum bhi ghire in tufano me,
par kabhi nahi gaye in maikhano me.



To tu bhi is gham ke andhere ko dur hata,
aur khushiyo ka ek deep jala.






Free Signature Generator
-----------------------------------------------------------------


Vo Pal, is all about friends and friendship...... "vo pal" that v spend with our friends is golden time that we'll remember always and qoute instatnces
spent with them.so here it goes......


Vo Pal

Jab hum aur bade ho jayenge,
to beeta hua pal yaad ayega.
College me school yaad ata hai,
Job karenge to college yad ayega.

Colleagues ke sath rahenge,
par vo dosto ka sath yaad ayega.

Dosto ke saath outing,
raat-raat bhar chatting,
bahut yaad ayega.


Tab hum projects ke naam rakhenge,
abhi vo groups ka naam rakhna,
bahut yaad ayega.

Vo dosto ke ghar ja ke masti marna,
khate peete vo movies dekhna,
unke ghar ko apni jageer samjhna,
sachmuch bahut yaad ayega.

Bhale hi hum salary wale honge,
but vo canteen me ja ke contrie marna,
unse chhoti chhoti baat pe party manga,
bahut yaad ayega.

Vo dosto ki taang kheechna,
****** kahke comment marna,
bahut yaad ayega.

Aise na jaane kitne pal hai,
jo bayan nahi kiye ja sakte,
but ye pal bahut yaad ayega,
bahut yaad ayega.








Free Signature Generator
-----------------------------------------------------------------


Ratri ke khiladi, is dedicated to all the night riders........
So here it goes........



                                " Ratri ke khiladi "


Hum to hai ratri ke khiladi,
isi time karte hai taiyari sari.

Kya karna hai,kyu padhna hai,
din me hai masti ki bari.


Kisne kaha subah se shaam tak padho,
mai to kahta hu us waqt araam karo.

Raat ko karte hai kaam sara,
tabhi to night unlimited hai plan hamara.



Sab soyenge,hum jagenge aur jab sab uthenge,tab hum sone jayenge
are bhai tabhi to innovative kahlayenge.

 
Jag sota hai, hum jagte hai,
IT wale hai,time congestion jante hai.

Akhir raatri bhi to hai hamari,
kyuki bhai hum to hai ratri ke khiladi,
isi time karte hai taiyari sari.






--------------------------------------------------------------------------------------

-----------------------------------------------------------------


Frndz......this was my first composition, that i am sharing with u.
Supply means back or supplementry.
I composed this message at 3am in the morning, feel the freshness of the mng and read it slowly with feel.......
so here it goes.....


"dard-e-supply"

Ab to raato ko jaagne me maza aane laga hai,
lekin subah 4 se 10 ki neend ka maza tumhe kya pata.!

Khidki ke pass baith thandhi hawa mehsus karne me maza ane laga hai,
lekin sensous gaano ke saath ka maza tumhe kya pata.!

Ab to padhai karne bhi maza aane laga hai,
lekin ha supply laane ka maza tumhe kya pata, tumhe kya pata !!


-----------------------------------------------------------------


             -----------------------------------------------------------------------------------------------------------

          NOTE : 
            ©2010 Author.All Rights Reserved. Copying the contents  of any post
            by any means or illegal storing without the written  permission  of
            the author  is a punishable offence. Publication   or  reproduction 
            of any composition or post is solemnly right of the author.